Maaa ki mamta

Maa jisne bachpan khoya
Ek pariwar ke liye
Badi hokr byah jab ayi dekho baccho ke liye khuisya apne Sauk kho di dusre pariwar ke liye






Wo wha door dekho koi suraj ko bhi mat de rhi hai
Are are ruko
Jara gaur se dekho
Apne baccho ko liye maa a rhi hai



Uske pairo me khadau nhi
Chhale hai
Magar dekho fir bhi uske mamta ke tarike kitne nirale hai

Tan par do hi hath ki saree hai
Are are ruko
Jra dhyan se dekho
Usme bhi bacche ke sar par adhi saree hai

Wo jo tharthra rhi hai bhookh se ab tak pyas bhi uski na bujh payi hai
Are are ruko
Jra dhyan se dekho
Bacche ke mukh me dekho dudh pilane ko cchati apni lgayi hai



Wo jo nikli na kbhi angan se school ko
Dekho wo milo door safar kar ayi hai



Wo dekho door wha koi pani se bhi saf a rhi hai

Are are ruko jara dhyan se dekho sar par cchata nhi wo to bojha la rhi hai



Dekho apne baccho ko liye maa a rhi hai

Comments

Popular posts from this blog

Heart touching